Pamal-e-KHiram-e-naz Kije

pamal-e-KHiram-e-naz kije

Thukraiye sarfaraaz kije

dil tum ne liya zaban de kar

aashiq ka na fash raaz kije

soz-e-tap hijr ka ye hai hukm

tan sham-e-sifat gudaz kije

mahmud hua hai husn sahab

pahle mujh ko ayaz kije

ho koi qaza jo baada-KHwaro

bhaTTi pe ada namaz kije

kahta hai ye naz-e-dil-rubai

ai aashiqo jaan niyaz kije

na-saz zamane ka nahin gham

han kar zamana-saz kije

ghairon se to hai 'waqar' behtar

ab aap bhi imtiyaz kije

(275) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pamal-e-KHiram-e-naz Kije In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Pamal-e-KHiram-e-naz Kije is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Pamal-e-KHiram-e-naz Kije for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Pamal-e-KHiram-e-naz Kije in PDF.