Main Pa-shikasta Kahan Tifl-e-nai Sawar Kahan

main pa-shikasta kahan tifl-e-nai sawar kahan

phir us ki gard kahan aur mera ghubar kahan

tumhaare wasl se Thahrega ye dil-e-be-tab

baghair aaina simab ko qarar kahan

bahut dinon se hun aamad ka apni chashm-e-ba-rah

tumhaara le gaya ai yar intizar kahan

jo sard-mehri se ThanDa ho us ke ai mah-ru

ragon mein KHun kahan nabz mein buKHar kahan

nikal ke sine se ja pahunche tur-e-sina par

gai chamakne meri aah-e-pur-sharar kahan

jo samjhen tere dam-e-tegh ko tariq apna

bata de dahr mein hain aise sar-guzar kahan

falak ki sulh ko samjhe raho 'waqar' jidal

bane bhi dost jo dushman to e'tibar kahan

(369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Pa-shikasta Kahan Tifl-e-nai Sawar Kahan In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Main Pa-shikasta Kahan Tifl-e-nai Sawar Kahan is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Main Pa-shikasta Kahan Tifl-e-nai Sawar Kahan for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Main Pa-shikasta Kahan Tifl-e-nai Sawar Kahan in PDF.