Kabhi Baalon Ko Suljhaya To Hota

kabhi baalon ko suljhaya to hota

mujhe shane se uljhaya to hota

bigaD jata abhi munh aaine ka

tumhaare ru-ba-ru aaya to hota

gul-e-yusuf zuleKHai dikhata

chaman mein wo aziz aaya to hota

zaban-e-bosa-e-lab de kar ai yar

na dide dil ko lalchaya to hota

mujhe waraftagi jaane na deti

wa-lekin tum ne bulwaya to hota

wo kahte ghair se kahte par ai dil

zaban par muddaa laya to hota

ruKH-e-rangin tera gar dekhta gul

na uD jata to pattaya to hota

sahaare par sahar hoti shab-e-hijr

na aate wada farmaya to hota

na paya tum ko main ne to gila kya

kabhi KHud aap ko paya to hota

masihai na karta go wo kafir

janaze par mere aaya to hota

na deta le ke dil wo par bala se

mera dil hath mein laya to hota

main tha gum-karda-e-ishq-e-kamar yar

kabhi anqa se DhunDhwaya to hota

main karta shukr-e-muqaddam mein fida jaan

farishta maut ka aaya to hota

na rahta dast-e-wahshat aastin mein

junun ne panw phailaya to hota

main uD chalta ba-rang-e-saut-e-naqus

'waqar' us but ne bulwaya to hota

(394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Baalon Ko Suljhaya To Hota In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Kabhi Baalon Ko Suljhaya To Hota is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Kabhi Baalon Ko Suljhaya To Hota for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Kabhi Baalon Ko Suljhaya To Hota in PDF.