Kal Kahan Bichaari Bulbul Aur Kahan Bechaara Gul

kal kahan bichaari bulbul aur kahan bechaara gul

aaj bulbul did kar le bagh ki nazzara gul

KHali-az-shar ye chaTakne ki sada hargiz nahin

subh dam karta hai apne kuch ka naqqara gul

ghuncha jab tak chup raha har tarah KHatir jama thi

KHanda-e-mufrat ne lekin kar diya aawara gul

zahira baatin subuk tha kuchh girani aa gai

ho gaya bulbul ki jaanib se jo sang-e-KHara gul

kyun na guzre dam-ba-dam bulbul ka parcha ai 'waqar'

rakhta hai baad-e-saba ka bagh mein harkara gul

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Kahan Bichaari Bulbul Aur Kahan Bechaara Gul In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Kal Kahan Bichaari Bulbul Aur Kahan Bechaara Gul is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Kal Kahan Bichaari Bulbul Aur Kahan Bechaara Gul for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Kal Kahan Bichaari Bulbul Aur Kahan Bechaara Gul in PDF.