Ho Id Ya Moharram Hum Gham Kiya Karenge

ho id ya moharram hum gham kiya karenge

do roza dahr-e-dun mein matam kiya karenge

mazmun darhami ka gesu ke bandhenge hum

har dam mizaj apna barham kiya karenge

us harf-e-na-shunu ki furqat mein chupke baiThe

hum apne dil se baaten har dam kiya karenge

kanon tak us ke pahunche manind-e-zulf jab hum

sargoshiyan sarasar baham kiya karenge

wo zulf-o-ruKH se apne kafur-o-mushk le kar

tayyar zaKHm-e-dil ka marham kiya karenge

go talKH wo kahenge lab-ha-e-shakkarin se

har dam dua magar hum ham-dam kiya karenge

go KHun ka qatra qatra dil se 'waqar' kam ho

lekin suKHan suKHan se hum zam kiya karenge

(347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Id Ya Moharram Hum Gham Kiya Karenge In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Ho Id Ya Moharram Hum Gham Kiya Karenge is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Ho Id Ya Moharram Hum Gham Kiya Karenge for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Ho Id Ya Moharram Hum Gham Kiya Karenge in PDF.