Aashiq-e-gesu-e-duta Hun Main

aashiq-e-gesu-e-duta hun main

aap apne liye bala hun main

kya shikayat agar na jaane yar

KHud nahin jaanta ki kya hun main

misl-e-gul hans ke main kabhi na khila

ghuncha san zist se KHafa hun main

main to ai jaan hun bure se bura

mera ye munh kahun bhala hun main

dil hai aaina-e-do-ru apna

dost dushman se ek sa hun main

tera aashiq hun ai but-e-rana

ghair hun main ki aashna hun main

mujh ko taslim hai jafa-e-yar

har tarah taba-e-raza hun main

mauj-e-nikhat mera janaza hai

kushta-e-KHanjar-e-ada hun main

phir chubha dil mein KHar gham hai 'waqar'

phir kisi gul ka mubtala hun main

(332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq-e-gesu-e-duta Hun Main In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Aashiq-e-gesu-e-duta Hun Main is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Aashiq-e-gesu-e-duta Hun Main for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Aashiq-e-gesu-e-duta Hun Main in PDF.