Chashm-e-KHunbar Mein Kyun LaKHt-e-jigar Jama Karen

chashm-e-KHunbar mein kyun laKHt-e-jigar jama karen

ghuncha-e-gul ki tarah ka hai ko zar jama karen

qatl ke baad hua hukm ki lashen uTh jaen

qaid-e-tafriq se maqtulon ke sar jama karen

yar ne KHatt-o-kabutar ke kiye hain TukDe

purze kaghaz ke karen jama ki par jama karen

fikr mein gesu-o-ruKHsar ke dil ki KHatir

sham hoti hai pareshan jo sahar jama karen

hum rahe dahr mein jab tak tu rahe pa-ba-rikab

par na ye ho saka asbab-e-safar jama karen

donon aalam se na kyun band wo aankhen rakkhen

tere nazzare ke KHatir jo nazar jama karen

yak qalam panj sad-o-chaar hon diwan mein ghazal

hum kalam apna 'waqar' aaj agar jama karen

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-KHunbar Mein Kyun LaKHt-e-jigar Jama Karen In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Chashm-e-KHunbar Mein Kyun LaKHt-e-jigar Jama Karen is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Chashm-e-KHunbar Mein Kyun LaKHt-e-jigar Jama Karen for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Chashm-e-KHunbar Mein Kyun LaKHt-e-jigar Jama Karen in PDF.