Bagh-e-ulfat Mein Gul Jo KHud-raw Hai

bagh-e-ulfat mein gul jo KHud-raw hai

KHun-e-bulbul ka rang hai bu hai

aashiq-e-jaan fida-e-abru hai

jo mah-e-id sar-ba-zanu hai

fitna-e-hashr zulf-e-umr-e-daraaz

par bala-e-siyah gesu hai

teri abru hai tegh ai saffak

jauhar-e-tegh chin-e-abru hai

husn un ka agar hai sangin dil

ishq apna bhi saKHt bazu hai

len na shor-e-nushur se karwaT

wo yahan KHwab chaar pahlu hai

tol le sher ko mere hasid

pas agar nazm ki taraazu hai

kyun na wo chashm-e-shauq mein khaTke

ai pari-ru kamar teri mu hai

us ka aashiq hua hun jis ki 'waqar'

chashm aahu nigah aahu hai

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh-e-ulfat Mein Gul Jo KHud-raw Hai In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Bagh-e-ulfat Mein Gul Jo KHud-raw Hai is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Bagh-e-ulfat Mein Gul Jo KHud-raw Hai for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Bagh-e-ulfat Mein Gul Jo KHud-raw Hai in PDF.