Aashiqi Mein Hai Jaan Ka KhaTka

aashiqi mein hai jaan ka khaTka

aur bhi kuchh bura bhala khaTka

yar sayyaad baghban ka hua

ye naya aur ek bandha khaTka

kan aahaT ki rah se na haTe

dil mein tha kis ke aane ka khaTka

wahi kawish mizha ne ki aaKHir

jis ka awwal se dil mein tha khaTka

bulbul-e-pak-bin hai aashiq-e-gul

baghban tu na khaTkhaTa khaTka

be tere yar sair-e-gulshan mein

phul aankhon mein KHar sa khaTka

tujh ko dekha uTha uTha kar sar

sans ka bhi agar hua khaTka

ishq ke hain 'waqar' chaar unsur

KHauf andesha-o-dagha khaTka

(354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiqi Mein Hai Jaan Ka KhaTka In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Aashiqi Mein Hai Jaan Ka KhaTka is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Aashiqi Mein Hai Jaan Ka KhaTka for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Aashiqi Mein Hai Jaan Ka KhaTka in PDF.