Uski Diwar Ka Jo Rauzan Hai

us ki diwar ka jo rauzan hai

KHur ka chashm-o-charag raushan hai

lutf-e-mufrat se dost dushman hai

barish-e-besh barq-e-KHirman hai

gosha-giri mein hirs afzun ho

subh shabnam ko fikr-e-raftan hai

ishq mein tere tar tar ai shoKH

jeb ghunche ki gul ka daman hai

shauq mein teri tegh ka yaksar

shama san tan tamam gardan hai

bahs karta hai shaiKH kabe se

jo tere dair ka barahman hai

surKH mehndi hui hai us ki siyah

rang-e-shadi mein rang-e-shewan hai

tum ne khole chaman mein band-e-qaba

baal parwaz-e-rang-e-gulshan hai

jo zamin-e-suKHan hai us mein 'waqar'

ek muddat se mera maskan hai

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Diwar Ka Jo Rauzan Hai In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Uski Diwar Ka Jo Rauzan Hai is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Uski Diwar Ka Jo Rauzan Hai for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Uski Diwar Ka Jo Rauzan Hai in PDF.