Dosto Haal-e-dil-e-zar Zara Us Se Kaho

dosto haal-e-dil-e-zar zara us se kaho

kam na ho is mein zara balki siwa us se kaho

baat gaDh kar na koi bahr-e-KHuda us se kaho

jitna main munh se kahun mera kaha us se kaho

ye na kahiyega ki hum zaKHmon pe chhiDkenge namak

jis kisi ne ki na chakkha ho maza us se kaho

sham-e-andoh ki shayad ki sahar ho jae

mera din raat ka ye shor-o-buka us se kaho

chashm-e-bimar ne bimar kiya hai mujh ko

lab-e-jaan-baKHsh kare meri dawa us se kaho

hath uTha baiThe na wo qatl se mere yaro

KHun-baha main ne ba-hal apna kiya us se kaho

ek hasin puchhta tha haal-e-waqar-e-KHasta

go bura ho mera itna to bhala us se kaho

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosto Haal-e-dil-e-zar Zara Us Se Kaho In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Dosto Haal-e-dil-e-zar Zara Us Se Kaho is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Dosto Haal-e-dil-e-zar Zara Us Se Kaho for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Dosto Haal-e-dil-e-zar Zara Us Se Kaho in PDF.