Bimar Hain To Ab Dam-e-isa Kahan Se Aae

bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aae

is dil mein dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aae

bekar sharh-e-lafz-o-maani se faeda

jab tu nahin to shahr mein tujh sa kahan se aae

har chashm sang-e-kizb-o-adawat se surKH hai

ab aadmi ko zindagi karna kahan se aae

wahshat hawas ki chaT gai KHak-e-jism ko

be-dar gharon mein shakl ka saya kahan se aae

jaD se ukhaD gae to badalti ruton se kya

be-ab aainon mein sarapa kahan se aae

sayon pe e'timad se ukta gaya hai ji

tufan mein zindagi ka bharosa kahan se aae

gham ke thapeDe le gae nagan se lambe baal

raaton mein jangalon ka wo saya kahan se aae

'nahid' faishanon ne chhupae hain aib bhi

chashme na hon to aankh ka parda kahan se aae

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bimar Hain To Ab Dam-e-isa Kahan Se Aae In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Bimar Hain To Ab Dam-e-isa Kahan Se Aae is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Bimar Hain To Ab Dam-e-isa Kahan Se Aae for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Bimar Hain To Ab Dam-e-isa Kahan Se Aae in PDF.