Dil Ko Bhi Gham Ka Saliqa Na Tha Pahle Pahle

dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle

us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle

dil tha shab-zad use kis ki rifaqat milti

KHwab tabir se chhupta raha pahle pahle

pahle pahle wahi andaz tha dariya jaisa

pas aa aa ke palaTta raha pahle pahle

aankh aainon ki hairat nahin jati ab tak

hijr ka ghao bhi us ne diya pahle pahle

khel karne ko bahut the dil-e-KHwahish-dida

kyun hawa dekh jalaya diya pahle pahle

umr-e-ainda ke KHwabon ko pyasa rakkha

fasla panw pakaDta raha pahle pahle

naKHun-e-be-KHabari zaKHm banata hi raha

ku-e-wahshat mein to rasta na tha pahle pahle

ab to us shaKHs ka paikar bhi gul-KHwab nahin

jo kabhi mujh mein tha mujh jaisa tha pahle pahle

ab wo pyasa hai to har bund bhi puchhe nisbat

wo jo dariyaon pe hansta raha pahle pahle

wo mulaqat ka mausam nahin aaya ab ke

jo sar-e-KHwab sanwarta raha pahle pahle

gham ka dariya meri aankhon mein simaT kar puchhe

kaun ro ro ke bichhaDta raha pahle pahle

ab jo aankhen huin sahra to khula har manzar

dil bhi wahshat ko tarasta raha pahle pahle

main thi diwar to ab kis ka hai saya tujh par

aisa sahra-zada chehra na tha pahle pahle

(302) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Bhi Gham Ka Saliqa Na Tha Pahle Pahle In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Dil Ko Bhi Gham Ka Saliqa Na Tha Pahle Pahle is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Dil Ko Bhi Gham Ka Saliqa Na Tha Pahle Pahle for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Dil Ko Bhi Gham Ka Saliqa Na Tha Pahle Pahle in PDF.