Jab Main Na Hun To Shahr Mein Mujh Sa Koi To Ho

jab main na hun to shahr mein mujh sa koi to ho

diwar-e-zindagi mein daricha koi to ho

ek pal kisi daraKHt ke sae mein sans le

sare nagar mein jaanne wala koi to ho

dekhe ajib rang mein tanha har ek zat

in gahre paniyon mein utarta koi to ho

DhunDoge jis ko dil se wo mil jaega zarur

aaenge log aap tamasha koi to ho

phir koi shakl baam pe aae nazar kahin

phir rahguzr-e-am mein ruswa koi to ho

koi to aarzu-e-farozan sambhaal rakh

han apne sar pe qarz-e-tamanna koi to ho

har-dam ilaj-e-mehr-o-wafa DhunDte raho

is tirgi mein ghar ka ujala koi to ho

'nahid' bandishon mein muqayyad hai zindagi

jaen hazar bar bulawa koi to ho

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Main Na Hun To Shahr Mein Mujh Sa Koi To Ho In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Jab Main Na Hun To Shahr Mein Mujh Sa Koi To Ho is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Jab Main Na Hun To Shahr Mein Mujh Sa Koi To Ho for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Jab Main Na Hun To Shahr Mein Mujh Sa Koi To Ho in PDF.