KHushbu Ko Rangton Pe Ubharta Hua Bhi Dekh

KHushbu ko rangton pe ubharta hua bhi dekh

naqsh-e-zar-e-bahaar chamakta hua bhi dekh

rakh ke madar-e-shauq kisi aaftab par

tu sang-e-intizar pighalta hua bhi dekh

aankhon ke gird jhankte halqe na dekh tu

sail-e-KHajista-KHu ko utarta hua bhi dekh

be-faiz dasht-e-dard mein aahistagi ke sath

aahu-sarisht logon ko chalta hua bhi dekh

rang-e-hina ko naqsh-e-qadam se juda bhi kar

sahra mein raKHsh-e-shauq ko girta hua bhi bhi dekh

mahsus kar chhalakte hue shauq ki jalan

yaKH chandni mein jism ko jalta hua bhi dekh

har chiz de ke jati hai apni nishaniyan

har gul mein rang-e-subh jhalakta hua bhi dekh

'nahid' chira-e-dasti-e-yaran aziz rakh

mauqe ke sath un ko badalta hua bhi dekh

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushbu Ko Rangton Pe Ubharta Hua Bhi Dekh In English By Famous Poet Kishwar Naheed. KHushbu Ko Rangton Pe Ubharta Hua Bhi Dekh is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem KHushbu Ko Rangton Pe Ubharta Hua Bhi Dekh for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download KHushbu Ko Rangton Pe Ubharta Hua Bhi Dekh in PDF.