Kuchh Bol Guftugu Ka Saliqa Na Bhul Jae

kuchh bol guftugu ka saliqa na bhul jae

shishe ke ghar mein tujh ko bhi rahna na bhul jae

wa rakh sada daricha-e-KHud-agahi ki tu

achchhe to kya buron ko parakhna na bhul jae

zaKHm-e-nihan ko shauq-e-talab se juda na kar

hota hai roz o shab jo tamasha na bhul jae

kar den na be-talab ye musalsal aziyyaten

dil bhi kahin wafa ka saliqa na bhul jae

manzil ka nashsha qurbat-e-manzil na chhin le

apni gali mein aa ke hi rasta na bhul jae

mat rakh tazad-e-zahir-o-baatin ki aadmi

tujh ko tere amal se parakhna na bhul jae

wo bhiD hai ki shahr mein chalna muhaal hai

ungli pakaDna bap ki bachcha na bhul jae

'nahid' rifaten to milengi bahut magar

aankhon ko apne shahr ka naqsha na bhul jae

(344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bol Guftugu Ka Saliqa Na Bhul Jae In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Kuchh Bol Guftugu Ka Saliqa Na Bhul Jae is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Kuchh Bol Guftugu Ka Saliqa Na Bhul Jae for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Kuchh Bol Guftugu Ka Saliqa Na Bhul Jae in PDF.