Tumhaari Yaad Mein Hum Jashn-e-gham Manaen Bhi

tumhaari yaad mein hum jashn-e-gham manaen bhi

kisi tarah se magar tum ko yaad aaen bhi

chhalak hi paDte hain KHud hi gulab aankhon ke

wo pas aaen to ye dastan sunain bhi

har ek lamha yahi bekali si hai dil mein

ki un ko yaad karen un ko bhul jaen bhi

jawan gehun ke kheton ko dekh kar ro den

wo laDkiyan ki jinhen bhul baiThin maen bhi

tamam umr yunhi ratjagon se kya hasil

unhen bhulaen zara nind ko bulaen bhi

sukun milta hai jalti hui dopahron mein

bani hain marham-e-dil dhup ki shuaen bhi

rawa-rawi mein hai har ek sohbat-e-yaran

milen sakun se to qisse tere sunaen bhi

wo jin ke zikr se 'nahid' zindagi hai hasin

wo log aaen to aankhon pe hum biThaen bhi

(373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Yaad Mein Hum Jashn-e-gham Manaen Bhi In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Tumhaari Yaad Mein Hum Jashn-e-gham Manaen Bhi is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Tumhaari Yaad Mein Hum Jashn-e-gham Manaen Bhi for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Tumhaari Yaad Mein Hum Jashn-e-gham Manaen Bhi in PDF.