Umr Mein Us Se BaDi Thi Lekin Pahle TuT Ke Bikhri Main

umr mein us se baDi thi lekin pahle TuT ke bikhri main

sahil sahil jazbe the aur dariya dariya pahunchi main

shahr mein us ke nam ke jitne shaKHs the sab hi achchhe the

subh-e-safar to dhund bahut thi dhupen ban kar nikli mein

us ki hatheli ke daman mein sare mausam simTe the

us ke hath mein jagi main aur us ke hath se ujli main

ek muTThi tariki mein tha ek muTThi se baDh kar pyar

lams ke jugnu pallu bandhe zina zina utri main

us ke aangan mein khulta tha shahr-e-murad ka darwaza

kuen ke pas se KHali gagar hath mein le kar palTi main

main ne jo socha tha yun to us ne bhi wahi socha tha

din nikla to wo bhi nahin tha aur maujud nahin thi main

lamha lamha jaan pighlegi qatra qatra shab hogi

apne hath larazte dekhe apne-ap hi sambhali main

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Mein Us Se BaDi Thi Lekin Pahle TuT Ke Bikhri Main In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Umr Mein Us Se BaDi Thi Lekin Pahle TuT Ke Bikhri Main is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Umr Mein Us Se BaDi Thi Lekin Pahle TuT Ke Bikhri Main for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Umr Mein Us Se BaDi Thi Lekin Pahle TuT Ke Bikhri Main in PDF.