Ek Nazm Ijazaton Ke Liye

tum mujhe pahan sakte ho

ki main ne apne aap ko

dhule hue kapDe ki tarah

kai dafa nichoDa hai

kai dafa sukhaya hai

tum mujhe chaba sakte ho

ki main chusne wali goli ki tarah

apni miThas ki tah ghula chuki hun

tum mujhe rula sakte ho

ki main ne apne aap ko qatl kar ke

apne KHun ko pani pani kar ke

aankhon mein jhil bana li hai

tum mujhe bhun sakte ho

ki meri boTi boTi

taDap taDap kar

zindagi ki har sans ko

alwidaa kah chuki hai

tum mujhe masal sakte ho

ki roTi sukhne se pahle

KHasta ho kar bhurnhuri ho jati hai

tum mujhe tawiz ki tarah

ghol kar pi jao

to main kalisaon mein bajti ghanTiyon mein

isi tarah tulua hoti rahungi

jaise gul-e-aftab

(405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nazm Ijazaton Ke Liye In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Ek Nazm Ijazaton Ke Liye is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Ek Nazm Ijazaton Ke Liye for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Ek Nazm Ijazaton Ke Liye in PDF.