Ghas To Mujh Jaisi Hai

ghas bhi mujh jaisi hai

panw-tale bichh kar hi zindagi ki murad pati hai

magar ye bhig kar kis baat gawahi banti hai

sharmsari ki aanch ki

ki jazbe ki hiddat ki

ghas bhi mujh jaisi hai

zara sar uThane ke qabil ho

to kaTne wali machine

use muhmal banane ka sauda liye

hamwar karti rahti hai

aurat ko bhi hamwar karne ke liye

tum kaise kaise jatan karte ho

na zamin ki numu ki KHwahish marti hai

na aurat ki

meri mano to wahi pagDanDi banane ka KHayal durust tha

jo hauslon ki shikaston ki aanch na sah saken

wo paiwand-e-zamin ho kar

yunhi zor-awaron ke liye rasta banate hain

magar wo par-e-kah hain

ghas nahin

ghas to mujh jaisi hai!

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghas To Mujh Jaisi Hai In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Ghas To Mujh Jaisi Hai is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Ghas To Mujh Jaisi Hai for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Ghas To Mujh Jaisi Hai in PDF.