Main Jis Irade Se Ja Rahi Hun Usi Irade Se LaD PaDungi

main jis irade se ja rahi hun usi irade se laD paDungi

mere sipahi ko kuchh hua to main shahzade se laD paDungi

ye khel shahon ke martabe ka hadaf banenge hamare mohre

main bebasi mein shikast khae hue piyaade se laD paDungi

main apni basti ki kachchi galiyon se ishq karti hun yaad rakhna

agar jo achchha bura kahega amir-zade se laD paDungi

asir-e-naqsh-o-nigar mujh se nahin sambhalta ye chaak-e-hasti

main thak gai to bikharti miTTi se aur burade se laD paDungi

ye sabr kab tak nibhae jaun main KHud se nazren churae jaun

jo sham-e-hijran ne jaan khai har ek wade se laD paDungi

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jis Irade Se Ja Rahi Hun Usi Irade Se LaD PaDungi In English By Famous Poet Komal Joya. Main Jis Irade Se Ja Rahi Hun Usi Irade Se LaD PaDungi is written by Komal Joya. Read famous Poem Main Jis Irade Se Ja Rahi Hun Usi Irade Se LaD PaDungi for youth and Student by Komal Joya. Free Download Main Jis Irade Se Ja Rahi Hun Usi Irade Se LaD PaDungi in PDF.