Nisf Se Dekh Zara Kam Na Ziyaada Aadha

nisf se dekh zara kam na ziyaada aadha

banT lete hain mohabbat tujhe aadha aadha

mehrban ishq mujhe kaT diya jaega

hone wala hai mera dast-e-kushada aadha

chauk mein dekhne wale the tamasha us ka

jis ko ghurbat mein mayassar tha labaada aadha

mere behis main tujhe milne nahin aaungi

aaj taqsim hua mera irada aadha

kuza-gar mujh ko bikharna hai bikhar jaane de

meri tajsim mein shamil hai burada aadha

teri duniya bhi meri tarah ujaD jaegi

rah gaya mujh mein agar sabr ka madda aadha

baqi aadhi to kisi aur ki muTThi mein dabi

pusht par main ne tujhe zist hai lada aadha

(1202) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nisf Se Dekh Zara Kam Na Ziyaada Aadha In English By Famous Poet Komal Joya. Nisf Se Dekh Zara Kam Na Ziyaada Aadha is written by Komal Joya. Read famous Poem Nisf Se Dekh Zara Kam Na Ziyaada Aadha for youth and Student by Komal Joya. Free Download Nisf Se Dekh Zara Kam Na Ziyaada Aadha in PDF.