Zard Chehra Hai Mera Zard Bhi Aisa-waisa

zard chehra hai mera zard bhi aisa-waisa

hijr ka dard hai aur dard bhi aisa-waisa

aisi ThanDak ki jami barf har ek KHwahish par

sard lahja tha koi sard bhi aisa-waisa

ab use fursat-e-ahwal mayassar hi nahin

wo jo hamdard tha hamdard bhi aisa-waisa

yani is dhul ke chhuTne pe bhi ilzam-e-junun

koi tufan hai pas-e-gard bhi aisa-waisa

puri basti mein bas ek shaKHs se nisbat mujh ko

mujh se munkir hai wo ek fard bhi aisa waisa

ishq ne rail ki paTri pe liTaya jis ko

tha jawan-mard jawan-mard bhi aisa-waisa

kya tujhe hijr ke aazar batae 'komal'

tu to be-dard hai be-dard bhi aisa-waisa

(1270) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zard Chehra Hai Mera Zard Bhi Aisa-waisa In English By Famous Poet Komal Joya. Zard Chehra Hai Mera Zard Bhi Aisa-waisa is written by Komal Joya. Read famous Poem Zard Chehra Hai Mera Zard Bhi Aisa-waisa for youth and Student by Komal Joya. Free Download Zard Chehra Hai Mera Zard Bhi Aisa-waisa in PDF.