Sahilon Ki KHamushi Ne Jab Fasurda Kar Diya

sahilon ki KHamushi ne jab fasurda kar diya

KHwahishon ki kashtiyon ko gharq-e-dariya kar diya

jism kya tha lazzaton ka ek dariya tha kabhi

har kisi ne pi ke us ko aaj sahra kar diya

aaj baiThe tak rahe hain umr ka KHali gilas

mausamon ka mai-kada ye kis ne suna kar diya

main barahna jism us ka oDh kar phirta raha

jama-poshi ke junun ne mujh ko nanga kar diya

tha yaqinan doston ki saf mein ek dushman mera

be-KHabar pa kar aachanak jis ne hamla kar diya

soch kar sari basarat chhinne wale bata

tu to suraj tha mera kyun mujh ko andha kar diya

wo jo kal tak mangte the mujh se qad mera 'adib'

sher ke naqid ne un ko mujh se uncha kar diya

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahilon Ki KHamushi Ne Jab Fasurda Kar Diya In English By Famous Poet Krishn Adeeb. Sahilon Ki KHamushi Ne Jab Fasurda Kar Diya is written by Krishn Adeeb. Read famous Poem Sahilon Ki KHamushi Ne Jab Fasurda Kar Diya for youth and Student by Krishn Adeeb. Free Download Sahilon Ki KHamushi Ne Jab Fasurda Kar Diya in PDF.