Madrasa Aawargi Aur Hath Mein Basta Na Tha

madrasa aawargi aur hath mein basta na tha

jo kitabon mein hai likha us ko wo paDhta na tha

yun to darwaze khule the sare us ke waste

wo musafir raston ka ek ja Thahra na tha

jo sunata tha kabhi aab-e-rawan ki dastan

us ke honTon ka muqaddar os ka qatra na tha

tishnagi hi tishnagi thi aur sahra ke sarab

aankh pani par thi lekin samne dariya na tha

chhoD aaya tha jise main KHud ana ke zoam mein

phir palaT kar us ko main ne umr bhar dekha na tha

mere hathon mein hai KHushbu us ke hathon ki 'adib'

jism jis ka chhu ke main ne aaj tak dekha na tha

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Madrasa Aawargi Aur Hath Mein Basta Na Tha In English By Famous Poet Krishn Adeeb. Madrasa Aawargi Aur Hath Mein Basta Na Tha is written by Krishn Adeeb. Read famous Poem Madrasa Aawargi Aur Hath Mein Basta Na Tha for youth and Student by Krishn Adeeb. Free Download Madrasa Aawargi Aur Hath Mein Basta Na Tha in PDF.