KHamoshiyon Mein Sada Se Likha Hua Ek Nam

KHamoshiyon mein sada se likha hua ek nam

suno hai dast-e-dua se likha hua ek nam

har ek ki apni zaban hai na paDh sakega bashar

zamin pe aab-o-hawa se likha hua ek nam

jo sun sako to suno KHushbuon ke lab par hai

gulon pe baad-e-saba se likha hua ek nam

chamakta rahta hai jab tak kuredi jae na rakh

chita pe dast-e-fana se likha hua ek nam

ajib baat hai paDhiye to harf uDne lagen

badan badan pe qaba se likha hua ek nam

kabhi kabhi to baraste hue bhi dekha hai

falak pe kali ghaTa se likha hua ek nam

magar ye quwwat-e-binai kis tarah aai

hawa mein dekha hawa se likha hua ek nam

kabhi khulengi agar muTThiyan to dekhenge

hatheliyon pe hina se likha hua ek nam

ye kaenat to lagta hai 'nur' jaise ho

kisi ki KHas ada se likha hua ek nam

(465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamoshiyon Mein Sada Se Likha Hua Ek Nam In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. KHamoshiyon Mein Sada Se Likha Hua Ek Nam is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem KHamoshiyon Mein Sada Se Likha Hua Ek Nam for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download KHamoshiyon Mein Sada Se Likha Hua Ek Nam in PDF.