Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun

kabhi junun to kabhi aagahi ki qaid mein hun

main apne zehn ki aawargi ki qaid mein hun

sharab mere labon ko taras rahi hogi

main rind to hun magar tishnagi ki qaid mein hun

na koi samt na jada na manzil-e-maqsud

yugon yugon se yunhi be-ruKHi ki qaid mein hun

kisi ke ruKH se jo parda uTha diya main ne

saza ye pai ki diwangi ki qaid mein hun

ye kis KHata ki saza mein hain dohri zanjiren

giraft maut ki hai zindagi ki qaid mein hun

na jaane kitni naqaben ulaTta jata hun

janm janm se main bechaargi ki qaid mein hun

yahan to parda-e-simin pe chal rahi hai film

main jis jagah hun wahan raushni ki qaid mein hun

jahan main qaid se chhuTun wahin pe mil jaana

abhi na milna abhi zindagi ki qaid mein hun

gharaz nasib mein likkhi rahi asiri hi

kisi ki qaid se chhuTa kisi ki qaid mein hun

gunah ye hai ki kyun apna nam rakha 'nur'

wo din aur aaj ka din tirgi ki qaid mein hun

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun in PDF.