Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad

tez ho jata hai KHushbu ka safar sham ke baad

phul shahron mein bhi khilte hain magar sham ke baad

us se daryaft na karna kabhi din ke haalat

subh ka bhula jo lauT aaya ho ghar sham ke baad

din tere hijr mein kaT jata hai jaise-taise

mujh se rahti hai KHafa meri nazar sham ke baad

qad se baDh jae jo saya to bura lagta hai

apna suraj wo uTha leta hai har sham ke baad

tum na kar paoge andaza tabahi ka meri

tum ne dekha hi nahin koi shajar sham ke baad

mere bare mein koi kuchh bhi kahe sab manzur

mujh ko rahti hi nahin apni KHabar sham ke baad

yahi milne ka samay bhi hai bichhaDne ka bhi

mujh ko lagta hai bahut apne se Dar sham ke baad

tirgi ho to wajud us ka chamakta hai bahut

DhunD to lunga use 'nur' magar sham ke baad

(745) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad in PDF.