Uski Dhun Mein Har Taraf Bhaga Kiya DauDa Kiya

us ki dhun mein har taraf bhaga kiya dauDa kiya

ek bund amrit ki KHatir main samundar pi gaya

ek taraf qanun hai aur ek taraf insan hai

KHatm hota hi nahin jurm-o-saza ka silsila

awwal-o-aKHir ke kuchh auraq milte hi nahin

hai kitab-e-zindagi be-ibtida be-intiha

phul mein rangat bhi thi KHushbu bhi thi aur husn bhi

us ne aawazen to din lekin kahan main sun saka

main to chhoTa hun jhuka dunga kabhi bhi apna sar

sab baDe ye tai to kar len kaun hai sab se baDa

jaise an-dekhe ujale ki koi diwar ho

band ho jata hai kuchh duri pe har ek rasta

husn-o-ulfat donon hain ab ek sath par magar

aaina-dar-aina bas aaina-dar-aina

jab na mujh se ban saki us tak rasai ki sabil

ek din main KHud hi apne raste se haT gaya

zindabaad ai dil mere main bhi hun tujh se muttafiq

pyar sachcha hai to phir kaisi wafa kaisi jafa

han magar tasdiq mein umren guzar jati hain 'nur'

kuchh na kuchh rahta hai sab ko apni manzil ka pata

(472) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Dhun Mein Har Taraf Bhaga Kiya DauDa Kiya In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Uski Dhun Mein Har Taraf Bhaga Kiya DauDa Kiya is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Uski Dhun Mein Har Taraf Bhaga Kiya DauDa Kiya for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Uski Dhun Mein Har Taraf Bhaga Kiya DauDa Kiya in PDF.