Ek Diya Dahliz Pe Rakha Bhul Gaya

ek diya dahliz pe rakkha bhul gaya

ghar ko lauT ke aane wala bhul gaya

ye kaisi be-ab zamin ka samna tha

KHud ko qatra qatre ko dariya bhul gaya

main to tha maujud kitab ke lafzon mein

wo hi shayad mujh ko paDhna bhul gaya

kis ke jism ki barish ne sairab kiya

kyun uDna mausam ka parinda bhul gaya

aaKHir ye hona tha aaKHir yahi hua

duniya mujh ko aur main duniya bhul gaya

main bhi hun mansub kisi ke qatl se ab

suraj meri chhat pe chamakna bhul gaya

wafa ka khoTa sikka kab tak chalta 'tur'

achchha hua jo apna paraya bhul gaya

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Diya Dahliz Pe Rakha Bhul Gaya In English By Famous Poet Krishna Kumar Toor. Ek Diya Dahliz Pe Rakha Bhul Gaya is written by Krishna Kumar Toor. Read famous Poem Ek Diya Dahliz Pe Rakha Bhul Gaya for youth and Student by Krishna Kumar Toor. Free Download Ek Diya Dahliz Pe Rakha Bhul Gaya in PDF.