Rup Ka Rasiya Sukh Ka Khoji Dil Hai Wo Baalak Nadan

rup ka rasiya sukh ka khoji dil hai wo baalak nadan

dar dar ghume bana bhikari mange KHushiyon ka dan

jalti bujhti shamon se puchho raat ke sine ka dard

uDte pakheru batlaenge suraj ki har muskan

kaun chakhe ye pan ka biDa kaun chaDhae chilla

nas nas TuT TuT rah jae jiwan wo kaDi kaman

us ka jism hai jaise hawa mein machalte dhan ki baali

us ki shoKH kaTili nazren jaise arjun ke ban

kabhi kabhi to phul ki KHushbu bhi kar deti hai zukaam

kabhi kabhi to sharab bhi hoti hai jiwan ka wardan

mol-tol kab karte hain bhala dil si shai ke gahak

mahngi bike ya sasti uTThe hain donon ek saman

hum se bhi kuchh kah lo sun lo ai jaane wali raato

hum bhi to hain is duniya mein do ghaDiyon ke mehman

(457) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rup Ka Rasiya Sukh Ka Khoji Dil Hai Wo Baalak Nadan In English By Famous Poet Krishna Kumar Toor. Rup Ka Rasiya Sukh Ka Khoji Dil Hai Wo Baalak Nadan is written by Krishna Kumar Toor. Read famous Poem Rup Ka Rasiya Sukh Ka Khoji Dil Hai Wo Baalak Nadan for youth and Student by Krishna Kumar Toor. Free Download Rup Ka Rasiya Sukh Ka Khoji Dil Hai Wo Baalak Nadan in PDF.