Sahil Se Bich Samundar Gahra Pani

sahil se bich samundar gahra pani

ghar miTTi ghar se bahar gahra pani

ye asrar hai zahir us ke hone ka

manzar ho ya pas-manzar gahra pani

dil ko kya dekhte ho ai dekhne walo

bahar KHushki aur andar gahra pani

Dub ke hi main shayad par nikal jaun

mera kya mere andar gahra pani

waqt kab ek si haalat rahne deta hai

ho jata hai ret aksar gahra pani

aasman par chand chamakta hai KHali

niche hai poshida gauhar gahra pani

be-payan karta hun 'tur' apne ko main

ek KHali tasht mein bhar kar gahra pani

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahil Se Bich Samundar Gahra Pani In English By Famous Poet Krishna Kumar Toor. Sahil Se Bich Samundar Gahra Pani is written by Krishna Kumar Toor. Read famous Poem Sahil Se Bich Samundar Gahra Pani for youth and Student by Krishna Kumar Toor. Free Download Sahil Se Bich Samundar Gahra Pani in PDF.