Uski Chah Mein Ab Ke Ye Bhi Kamal Hua

us ki chah mein ab ke ye bhi kamal hua

KHud se main bahar aaya to ek misal hua

dard ki beDi sham se hi baj uThti hai

main to us ke firaq mein aur niDhaal hua

wo meri tarif ka ab mohtaj nahin

wo chehra to KHud hi ek misal hua

KHud hi charagh ab apni lau se nalan hai

naqsh ye kya ubhra ye kaisa zawal hua

ab to sannaTa bhi bolta lagta hai

apne aap mein ye bhi ek kamal hua

main apni tanhai se shayad aajiz tha

is aahaT ka warna kaise KHayal hua

wo bhi mujh ko bhula ke bahut KHush baiTha hai

main bhi us ko chhoD ke 'tur' nihaal hua

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Chah Mein Ab Ke Ye Bhi Kamal Hua In English By Famous Poet Krishna Kumar Toor. Uski Chah Mein Ab Ke Ye Bhi Kamal Hua is written by Krishna Kumar Toor. Read famous Poem Uski Chah Mein Ab Ke Ye Bhi Kamal Hua for youth and Student by Krishna Kumar Toor. Free Download Uski Chah Mein Ab Ke Ye Bhi Kamal Hua in PDF.