Wo Kya Zindagi Jis Mein Joshash Nahin

wo kya zindagi jis mein joshash nahin

wo kya aarzu jis mein kawish nahin

junun aaina-dar-e-soz-e-darun

junun par KHushi ki nawazish nahin

muqaddar ka marhun-e-minnat hai ye

tera martaba wajh-e-nazish nahin

haqiqat ka akkas mera kalam

tasanno nahin is mein koshish nahin

ye izhaar-e-sada hai jazbaat ka

kamal-e-hunr ki numaish nahin

zamane se hun be-niyaz is qadar

sataish ki bhi dil mein KHwahish nahin

ye kya ho gaya tere maktub mein

talluq ka rang-e-nigarish nahin

use mil sake kaamyabi kahan

madad-gar jis ki sifarish nahin

wo be-bak aazad-guftar hai

kabhi 'kirshn' mohan ko bandish nahin

(317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kya Zindagi Jis Mein Joshash Nahin In English By Famous Poet Krishna Mohan. Wo Kya Zindagi Jis Mein Joshash Nahin is written by Krishna Mohan. Read famous Poem Wo Kya Zindagi Jis Mein Joshash Nahin for youth and Student by Krishna Mohan. Free Download Wo Kya Zindagi Jis Mein Joshash Nahin in PDF.