Zindagi Ke AaKHiri Lamhe KHushi Se Bhar Gaya

zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya

ek din itna hansa wo hanste hanste mar gaya

bujh gaya ehsas tari hai sukut-e-be-hisi

dard ka daftar gaya saman-e-shor-o-shar gaya

shaKHs-e-mamuli mera jo mal-e-wafir chhoD kar

marte marte tohmaten chand apne zimme dhar gaya

is qadar sanjida tha wo dafatan buDha hua

aur phir ek dopahar biwi ko bewa kar gaya

durdarshan par tarab aagin tamasha dekh kar

KHush hua wo is qadar mare KHushi ke mar gaya

dar haqiqat maut ka matlab to hai naql-e-makan

jis tarah kamre ke andar se koi bahar gaya

kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisa akela-pan ki log

maut se Darte hain main to zindagi se Dar gaya

(367) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Zindagi Ke AaKHiri Lamhe KHushi Se Bhar Gaya In English By Famous Poet Krishna Mohan. Zindagi Ke AaKHiri Lamhe KHushi Se Bhar Gaya is written by Krishna Mohan. Read famous Poem Zindagi Ke AaKHiri Lamhe KHushi Se Bhar Gaya for youth and Student by Krishna Mohan. Free Download Zindagi Ke AaKHiri Lamhe KHushi Se Bhar Gaya in PDF.