Apne Gird-o-pesh Ka Bhi Kuchh Pata Rakh

apne gird-o-pesh ka bhi kuchh pata rakh

dil ki duniya to magar sab se juda rakh

likh bayaz-e-marg mein har ja anal-haq

aur kitab-e-zist mein bab-e-KHuda rakh

us ki rangat aur nikhregi KHizan mein

ye ghamon ki shaKH hai is ko hara rakh

aa hi jaegi udasi baal khole

aaj apne dil ka darwaza khula rakh

yun bhi bah jaega sab sail-e-bala mein

apne ghar ke sab dar-o-diwar Dha rakh

na-muradi ka unhen bhi tajraba ho

un ke raste mein bhi koi saneha rakh

sansanati raat ke aane se pahle

dil mein jati dhup ka TukDa saja rakh

besh-qimat hain ye dil ke zaKHm 'pashi'

in charaghon ko hawaon se bacha rakh

(323) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Gird-o-pesh Ka Bhi Kuchh Pata Rakh In English By Famous Poet Kumar Pashi. Apne Gird-o-pesh Ka Bhi Kuchh Pata Rakh is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Apne Gird-o-pesh Ka Bhi Kuchh Pata Rakh for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Apne Gird-o-pesh Ka Bhi Kuchh Pata Rakh in PDF.