Chaal Ek Aisi Chali Har ShaKHs Sidha Ho Gaya

chaal ek aisi chali har shaKHs sidha ho gaya

baat bas itni ki main thoDa sa tirchha ho gaya

log bole ab naya ho ja purana-pan utar

main bhi kya karta sar-e-bazar nanga ho gaya

us janam mein phir mujhe waisi hi gumnami mili

ittifaq aisa ki phir us ghar mein paida ho gaya

TuT kar tare gire kal shab mari dahliz par

us ki bhi aankhen gain aur main bhi andha ho gaya

chhe dinon tak shahar mein ghuma wo bachchon ki tarah

satwen din jab wo ghar pahuncha to buDha ho gaya

do dinon mein hum zara kuchh aur lambe ho gae

qad hamare doston ka aur chhoTa ho gaya

chal diye duniya se hum 'pashi' sabhi kuchh tyag kar

aur hamare sath hi ek daur pura ho gaya

(455) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaal Ek Aisi Chali Har ShaKHs Sidha Ho Gaya In English By Famous Poet Kumar Pashi. Chaal Ek Aisi Chali Har ShaKHs Sidha Ho Gaya is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Chaal Ek Aisi Chali Har ShaKHs Sidha Ho Gaya for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Chaal Ek Aisi Chali Har ShaKHs Sidha Ho Gaya in PDF.