Kaisa Ajab Tamasha Dekh Raha Hun

kaisa ajab tamasha dekh raha hun

aalam aalam saya dekh raha hun

zarra zarra TuT rahi hai dharti

KHud ko jaise luTta dekh raha hun

rasta rasta sahl hua hai chalna

aage aage saya dekh raha hun

mausam mausam phail rahi hai KHushbu

dur se tujh ko aata dekh raha hun

bauchhaaron mein baras rahe hain baadal

aur main KHud ko jalta dekh raha hun

(560) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisa Ajab Tamasha Dekh Raha Hun In English By Famous Poet Kumar Pashi. Kaisa Ajab Tamasha Dekh Raha Hun is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Kaisa Ajab Tamasha Dekh Raha Hun for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Kaisa Ajab Tamasha Dekh Raha Hun in PDF.