KHushbu-e-dard Ke Baghair Rang-e-jamal Ke Baghair

KHushbu-e-dard ke baghair rang-e-jamal ke baghair

kaise guzar gai hayat hijr-o-visal ke baghair

in mein tera hi rang hai in mein tera hi rup hai

phulon ki kya misal dun teri misal ke baghair

meri talab ko paDh liya us ki nigah-e-tez ne

sau sau hain uzr us ke pas mere sawal ke baghair

tu mera hausla to dekh phir hun usi ke ru-ba-ru

tir-o-tabar hain us ke pas aur main Dhaal ke baghair

baDh ja tu mujh ko raund kar manzil-e-nau ki le KHabar

tera uruj hai muhaal mere zawal ke baghair

'pashi' wo dil ka shahr ho dasht ho ya wo bahr ho

raushan nahin koi jagah un ke jamal ke baghair

(384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushbu-e-dard Ke Baghair Rang-e-jamal Ke Baghair In English By Famous Poet Kumar Pashi. KHushbu-e-dard Ke Baghair Rang-e-jamal Ke Baghair is written by Kumar Pashi. Read famous Poem KHushbu-e-dard Ke Baghair Rang-e-jamal Ke Baghair for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download KHushbu-e-dard Ke Baghair Rang-e-jamal Ke Baghair in PDF.