Teri Yaad Ka Har Manzar Pas-manzar Likhta Rahta Hun

teri yaad ka har manzar pas-manzar likhta rahta hun

dil ko waraq banata hun aur shab bhar likhta rahta hun

bhari do-pahri sae banata rahta hun main lafzon se

tariki mein baiTh ke mah-e-munawwar likhta rahta hun

KHwab sajata rahta hun main bujhi bujhi si aankhon mein

jis se sab mahrum hain use mayassar likhta rahta hun

chhanw na banTe peD to apni aatish mein jal jata hai

sirf yahi ek baat main use barabar likhta rahta hun

kya batlaun 'pashi' tum ko sang-dilon ki basti mein

moti sochta rahta hun main gauhar likhta rahta hun

(447) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Yaad Ka Har Manzar Pas-manzar Likhta Rahta Hun In English By Famous Poet Kumar Pashi. Teri Yaad Ka Har Manzar Pas-manzar Likhta Rahta Hun is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Teri Yaad Ka Har Manzar Pas-manzar Likhta Rahta Hun for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Teri Yaad Ka Har Manzar Pas-manzar Likhta Rahta Hun in PDF.