Ye Kaisi Aag Barasti Hai Aasmanon Se

ye kaisi aag barasti hai aasmanon se

parinde lauT ke aane lage uDanon se

koi to DhunD ke mujh ko kahin se le aae

ki KHud ko dekha nahin hai bahut zamanon se

palak jhapakte mein mere uDan bharte hi

hazaron tir nikal aaenge kamanon se

hui hain dair-o-haram mein ye sazishen kaisi

dhuan sa uThne laga shahr ke makanon se

shikar karna tha jin ko shikar kar ke gae

shikariyo utar aao tum ab machanon se

riwayaton ko kahan tak uThae ghumoge

ye bojh utar do 'pashi' tum apne shanon se

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaisi Aag Barasti Hai Aasmanon Se In English By Famous Poet Kumar Pashi. Ye Kaisi Aag Barasti Hai Aasmanon Se is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Ye Kaisi Aag Barasti Hai Aasmanon Se for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Ye Kaisi Aag Barasti Hai Aasmanon Se in PDF.