Aazad Shahri: Ek Taaruf

wo marne pe raazi nahin tha

baDa DhiT tha

shahi farman par

us ne apni zaban kaT li thi

wo aankhon se andha tha kanon se bahra

use apne chaaron taraf dekhne ki ijazat nahin thi

samaat pe pabandiyan thin

magar shahi dastur mein

zikr aisi kisi baat ka bhi nahin tha

wo aazad tha apne ghar ki hadon tak

badan ki tahon tak

wo aadha-adhura tha dil us ka

gahre azabon se KHali nahin tha

suna hai: wo is par bhi

marne par raazi nahin tha

wo KHush tha ki us mulk ke shahi dastur mein

us ko aazad likkha gaya tha

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazad Shahri: Ek Taaruf In English By Famous Poet Kumar Pashi. Aazad Shahri: Ek Taaruf is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Aazad Shahri: Ek Taaruf for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Aazad Shahri: Ek Taaruf in PDF.