Aankhon Mein Jo Hamari Ye Jalon Ke Dagh Hain

aankhon mein jo hamari ye jalon ke dagh hain

ye to hamare apne KHayalon ke dagh hain

meri hatheliyon pe jo mehndi se rach gae

ye aansuon mein bhige rumalon ke dagh hain

bahar nikal ke jism se jaun to kis tarah

sankal kahin kahin pe ye talon ke dagh hain

tum jin ko kah rahe ho mere qadmon ke nishan

wo sab to mere panw ke chhaalon ke dagh hain

kajal mein ghul ke aur ziyaada nikhar gae

ashkon ko ye na kahna KHayalon ke dagh hain

hal hote hote us ki natije pe aa gae

jitne jawab hain wo sawalon ke dagh hain

aate hi mere pas jo akasr chhalak paDe

honTon pe mere aise hi pyalon ke dagh hain

aise bhi log hain jo sitaron ko dekh kar

kahte milen hain ye to ujalon ke dagh hain

jo mujh mein dekhte hain mere bhi hain ai 'kunwar'

kuchh un mein mujh ko dekhne walon ke dagh hain

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Jo Hamari Ye Jalon Ke Dagh Hain In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Aankhon Mein Jo Hamari Ye Jalon Ke Dagh Hain is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Aankhon Mein Jo Hamari Ye Jalon Ke Dagh Hain for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Aankhon Mein Jo Hamari Ye Jalon Ke Dagh Hain in PDF.