Aankhon Se Jab Ye KHwab Sunahre Utar Gae

aankhon se jab ye KHwab sunahre utar gae

hum dil mein apne aur bhi gahre utar gae

sanpon ne man ki bin ko kaTa hai is tarah

the us ke pas jitne bhi lahre utar gae

lae hain wo hi aag ke moti baTor kar

jo aansuon ki barf mein gahre utar gae

logon ke dard-o-gham bhi siyasat ke zehn mein

jhanDon se ek din ko hi phahre utar gae

pahre pe sab hi chor hain ye tab pata chala

aankhon se jab ye nind ke pahre utar gae

hum jab taTon ke pas rahe Dubte rahe

jab jab bhanwar ke beach mein Thahre utar gae

naron ki siDhiyon ko laga kar chaDhe jo log

ho kar unhin ki choT se bahre utar gae

jis din se mere dil mein 'kunwar' bas gae hain aap

duniya ke mujh pe jitne the pahre utar gae

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Se Jab Ye KHwab Sunahre Utar Gae In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Aankhon Se Jab Ye KHwab Sunahre Utar Gae is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Aankhon Se Jab Ye KHwab Sunahre Utar Gae for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Aankhon Se Jab Ye KHwab Sunahre Utar Gae in PDF.