BaDh Rahi Hai Dil Ki DhaDkan Aandhiyon Dhire Chalo

baDh rahi hai dil ki dhaDkan aandhiyon dhire chalo

phir koi TuTe na darpan aandhiyon dhire chalo

ye chaman sara ka sara aaj-kal KHatre mein hai

har taraf hai aag dushman aandhiyon dhire chalo

ek yug ke baad baadal ka naya aanchal mila

KHush bahut hai aaj sawan aandhiyon dhire chalo

likh rahi hai KHushbuon ko KHat kamal ki pankhuDi

khil uTha hai jhil ka man aandhiyon aandhiyon dhire chalo

sari sansen aandhiyan hain aur main murthal ki ret

aur baDh jati hai uljhan aandhiyon dhire chalo

sath in pachhua hawaon ka bahut achchha nahin

kah raha purwai ka man aandhiyon dhire chalo

ye jo phulon ka nagar tha is mein hi kanTon se ab

bhar gaya har ek aangan aandhiyon dhire chalo

jag gae to zahr bhar denge fazaon mein 'kunwar'

khul na jaen sanp ke phan aandhiyon dhire chalo

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDh Rahi Hai Dil Ki DhaDkan Aandhiyon Dhire Chalo In English By Famous Poet Kunwar Bechain. BaDh Rahi Hai Dil Ki DhaDkan Aandhiyon Dhire Chalo is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem BaDh Rahi Hai Dil Ki DhaDkan Aandhiyon Dhire Chalo for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download BaDh Rahi Hai Dil Ki DhaDkan Aandhiyon Dhire Chalo in PDF.