Do-chaar Bar Hum Jo Kabhi Hans-hansa Liye

do-chaar bar hum jo kabhi hans-hansa liye

sare jahan ne hath mein patthar uTha liye

rahte hamare pas to ye TuTte zarur

achchha kiya jo apne sapne chura liye

chaha tha ek phul ne taDpen usi ke pas

hum ne KHushi se peDon mein kanTe bichha liye

aankhon mein aae ashk ne aankhon se ye kaha

ab roko ya girao hamein hum to aa liye

sukh jaise baadalon mein nahati hun bijliyan

dukh jaise bijliyon mein ye baadal naha liye

jab ho saki na baat to hum ne yahi kiya

apni ghazal ke sher kahin gunguna liye

ab bhi kisi daraaz mein mil jaenge tumhein

wo KHat jo tum ko de na sake likh-likha liye

(566) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Do-chaar Bar Hum Jo Kabhi Hans-hansa Liye In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Do-chaar Bar Hum Jo Kabhi Hans-hansa Liye is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Do-chaar Bar Hum Jo Kabhi Hans-hansa Liye for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Do-chaar Bar Hum Jo Kabhi Hans-hansa Liye in PDF.