Gagan Mein Jab Apna Sitara Na Dekha

gagan mein jab apna sitara na dekha

to jine ka koi sahaara na dekha

nazar hai, magar wo nazar kya ki jis ne

KHud apni nazar ka nazara na dekha

bhale wo Dubae ubhaare ki hum ne

bhanwar dekh li to kinara na dekha

wo bas nam ka aaina hai ki jis ne

kabhi husn ko KHud sanwara na dekha

tumhein jab se dekha, tumhein dekhte hain

kabhi muD ke KHud ko dobara na dekha

sabhi nafraton ki dawa hai mohabbat

ki is se alag koi chaara na dekha

main baadal mein roya, hansa bijliyon mein

kisi ne ye mera ishaara na dekha

'kunwar' hum usi ke hue ja rahe hain

jise hum ne ab tak pukara na dekha

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gagan Mein Jab Apna Sitara Na Dekha In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Gagan Mein Jab Apna Sitara Na Dekha is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Gagan Mein Jab Apna Sitara Na Dekha for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Gagan Mein Jab Apna Sitara Na Dekha in PDF.