Is Waqt Apne Tewar Pure Shabab Par Hain

is waqt apne tewar pure shabab par hain

sare jahan se kah do hum inqalab par hain

hum ko hamari ninden ab chhu nahin sakengi

jis tak na nind pahunche us ek KHwab par hain

un qatilon ke chehre ab to ughaariyega

taza lahu ke dhabbe jin ke naqab par hain

apni laDai hai to kewal usi mahal se

apne lahu ki bunden jis ke gulab par hain

kaise miTa sakega hum ko 'kunwar' zamana

hum dastaKHat samay ke dil ki kitab par hain

(497) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Waqt Apne Tewar Pure Shabab Par Hain In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Is Waqt Apne Tewar Pure Shabab Par Hain is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Is Waqt Apne Tewar Pure Shabab Par Hain for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Is Waqt Apne Tewar Pure Shabab Par Hain in PDF.