Jab Mere Ghar Ke Pas Kahin Bhi Nagar Na Tha

jab mere ghar ke pas kahin bhi nagar na tha

to is tarah ka rah mein luTne ka Dar na tha

jangal mein jangalon ki tarah ka safar na tha

surat mein aadmi ki koi jaanwar na tha

aansu sa gir ke aankh se main sochta raha

itna to apne-ap se main be-KHabar na tha

ek bar KHud ko ghaur se dekha to ye mila

main sirf ek dhaD tha mere dhaD pe sar na tha

honTon pe aai aur 'kunwar' kanpti rahi

ek baat jis ka dil pe koi bhi asar na tha

(495) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jab Mere Ghar Ke Pas Kahin Bhi Nagar Na Tha In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Jab Mere Ghar Ke Pas Kahin Bhi Nagar Na Tha is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Jab Mere Ghar Ke Pas Kahin Bhi Nagar Na Tha for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Jab Mere Ghar Ke Pas Kahin Bhi Nagar Na Tha in PDF.