Koi Nahin Hai Dekhne Wala To Kya Hua

koi nahin hai dekhne wala to kya hua

teri taraf nahin hai ujala to kya hua

chaaron taraf hawaon mein us ki mahak to hai

murjha rahi hai sans ki mala to kya hua

badle mein tujh ko de to gae bhuk aur pyas

munh se jo tere chhina niwala to kya hua

aankhon se pi raha hun tere pyar ki sharab

gar chhuT gaya hai hath se pyala to kya hua

dharti ko meri zat se kuchh to nami mili

phuTa hai mere panw ka chhaala to kya hua

sare jahan ne mujh pe lagai hain tohmaten

tum ne bhi mera nam uchhaala to kya hua

sar par hai man ke pyar ka aanchal paDa hua

mujh par nahin hai koi dushaala to kya hua

manchon pe chuTkule hain latife hain aaj-kal

manchon pe ne hain pant nirala to kya hua

ai zindagi tu pas mein baiThi hui to hai

shishe mein tujh ko gar nahin Dhaala to kya hua

aankhon ke ghar mein aai nahin raushni 'kunwar'

TuTa hai phir se nind ka tala to kya hua

(511) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Nahin Hai Dekhne Wala To Kya Hua In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Koi Nahin Hai Dekhne Wala To Kya Hua is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Koi Nahin Hai Dekhne Wala To Kya Hua for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Koi Nahin Hai Dekhne Wala To Kya Hua in PDF.